Hazrath Peer Sultan Gulzar AliSha Hussaini Qadri Sarwari
Kolar, KarnatakaAap ki wiladath e saadath baroz e peer 19 shawal ul mukkaram 1324 hijri, yani 19 January 1906 bamaqaam ambur tamil nadu mein huyi. Peshe ke aetabar se darzi (tailor) the. Luqma e halaal par aktafa farmaya karte the. Metric tak taleem payi, ghar mein deeni mahol tha isliye ke aap ke walidein janab abdul majeed sahab aur bib Zainab sadiya ki wabastagi hazrath makan vellore yani Qutub ul qitaab, Qutub e vellore hazrath Lateef shah Qadri (r.a) se thi. Aap ki zaujiyath mein teen biwiyan aayi.
Hazrath sultan peer munawwar alisha hussaini Qadri sarwari (r.a) se aap ne 1925 mein bayat farmayi. Saath saal tak apne peer o murshid ki khidmat ka sharf hasil farmaya aur usi dauran aap ne tarku duniya bhi huye aur phir dargah sufi mastan sha Qadri (r.a) Gudiyattam, tamil nadu 1932 mein khilafath e kamila se Sarfarazi payi baad az khilafath e kamila aapne 33 saal tak Silsila hussaini Qadri sarwari ki azeem khidmat par faeez rahe aur is tarha aapne sobae Karnataka zilla Kolar shariff mein kayi tishnagane marifath ko saeraab karte huwe kafi wasi Silsila tameer farmaya.
Aapne 1965 19 rabi ul awal 1385 hijri baroze peer mein wafath payi. Aap ka maskan mustaqal taur par kolar hai isi wajah se kolar mein aap ka Silsila kaafi phaila aur mazeed phail raha hai aur aap ki sukuniyat e daeemi antarganga bamaqam pahadi daman hazrath peer bukhtawar auliya (r.a) ke ihaate mein farmayi aur wahin par aap ka mazar e aqdas maujood hai. Jahan se zaeerin har tarha ke fuyuzo barkaath se mala maal hote rahe hain.
Developed & Maintained By :
Ghulaman E Zulfiqar, Bangalore.
All Rights Reserved 2024.
No. of Views :